dosa pecipe in hindi

0

dosa se 5 minute mein banaen



Aaj hum bahut hi tasty laajawab ekdam crispy instant dosa banakar tayar karenge. Ek baar aap yeh dosa banakar dekhiye, agar aapne ek baar bana liya to aapke ghar mein is dosa ko banane ki demand baar-baar hone wali hai.


Dosa ka Batter Banane ke Liye sabse pahle is recipe ke liye Saman chahie

1. Mixing:

    Mixer ka jar le kar ismein 1 cup sooji 1 bada chammach besan, aur 1 bada chammach aata daalein. 

   Agar chahein, dono chammach aata ya dono chammach besan bhi le sakte hain.

    In sabko acche se pees lein

2. Adding Curd and Water

   Pise huye mixture mein aadha cup dahi aadha cup paani aur aadha chammach namak daal kar phir se pees lein

   Ab is mixture ko ek bowl mein nikaal lein

3. Adjusting the Consistency

   Mixer ke jar mein 1/4 cup paani daal kar bacha hua batter mein milayein

   Sabko achhe se mix kar lein aur 15 minute ke liye rakh dein, taki sooji phool jaaye

Chutney Banane ke Liye

1. Roasting Ingredients

   Ek pan mein 1 bada chammach tel garam kar ke, usmein 1 bada chammach chana daal aur 1 bada chammach urad daal daalein 

   Daal ko dhimi aanch par 2-3 minute tak bhunein. Daal ko brown nahi karna hai bas halka sa bhunna hai

2. Adding Garlic and Red Chilies

 Phir 3-4 lehsun ki kaliyan aur 3-4 sukhi laal mirch (beej hata kar) daal kar 2 minute ke liye bhunein

3. Adding Onion and Tomato

  1 medium size ka pyaaz daal kar 2 minute tak bhunein taki woh halka sa soft ho jaaye

  Uske baad 1 medium size ka tamaatar daalein aur usko soft hone tak bhunein Jaldi soft karne ke liye aadha chhota chammach namak daal sakte hain

4. Blending Chutney

   Tamaatar soft hone ke baad mixture ko thanda karke mixer mein daalein

  Phir 2 bade chammach imli ka paani aadha chhota chammach cheeni daal kar pees lein. Zarurat ke anusaar paani daal kar chutney ki consistency adjust karein

  Chutney ko ek bowl mein nikaal kar tadka lagayein

5. Tadka Lagane ke Liye

  2 chammach tel garam kar ke usmein 1 chhota chammach sarson 2 pinch hing aur 8 .10 curry leaves daalein

  Ye tadka chutney mein daal dein

Stuffing Banane ke Liye

1. Mixing the Ingredients

  2 medium size ke pyaaz ko bareek kaat kar ek bowl mein daalein

  Ismein 1 chhota chammach kashmiri laal mirch powder aadha chhota chammach namak aadha chhota chammach chaat masala, aur aadhe neemboo ka ras daal kar acche se mix karein

Dosa Banane ke Liye

1. Preparing the Tawa

   Non-stick tawa le kar uspar tel daalein aur tissue paper se acche se phela dein

  Paani ke chheente daal kar tawa ko ponch lein Yeh step har dosa banane se pehle karein

2. Cooking the Dosa

   Gas ki flame ko low par rakhein aur ek bada chammach bhar kar dosa batter daalein Acche se phela lein

  Gas ki flame ko medium par kar dein

   Dosa par butter, kashmiri laal mirch powder aur thoda garam masala sprinkle karein

   Phir badiik kati hui shimla mirch aur masala pyaaz daal dein

  Upar se kaddookas kiya hua paneer ya cheese bhi daal sakte hain Dosa ko acche se sek lein


Dosa banane ki detail jankari

 To Sabse pehle hum dosa ka batter banayenge. To iske liye maine mixer ka jar liya hai, ismein hum dalenge ek cup suji, moti ya bareek koi bhi suji le sakte ho. Ismein hum ek bada chamach besan aur ek bada chamach atta dalenge. Aap chahein to dono chamach atta ya dono chamach besan bhi le sakte ho. In sabko pees lenge. Dekhiye humne sabko achhe se pees liya hai.

Ab hum ismein aadha cup dahi dalenge aur aadha cup pani dalenge. Aur aadha chamach namak liya hai. In sabko pees lenge aur ek bowl mein nikaal lenge. Ab maine mixer ke jar mein 1/4 cup pani dal kar batter mein daal diya hai. In sabko achhe se mix kar lenge. Mix karne ke baad hum isse 15 minute ke liye rakh denge. 15 minute mein suji achhe se phool jayegi. Tab tak hum iske liye ek special chutney tayar karte hain.

Yahaan par humne ek pan liya hai, ismein ek bada chamach tel dalenge, ek bada chamach chana daal aur ek bada chamach urad daal dalenge. Dono daal ko dheemi aanch par do se 3 minute ke liye bhoon lenge. Daal ko humein abhi brown nahi karna hai, bas is baat ka dhyan rakhiye. Daal ko maine keval 2 minute hi bhoona hai. Ab hum ismein teen se chaar lahsun ki kaliyan dalenge aur teen se chaar maine sookhi wali lal mirch li hai. Lal mirch ke maine beej hata diye the taaki chutney bahut zyada teekhi na bane. Inhein bhi 2 minute ke liye dheemi aanch par bhoon lenge.

Aur ab humne yahaan par ek medium size ka pyaaz liya hai. Pyaaz ko bhi hum 2 minute ke liye bhoonkar halka sa soft karenge. Uske baad hum ismein ek medium size ka tamatar dalenge. Ab humein tamatar ko achhe se soft hone tak bhoonna hai. To tamatar jaldi se soft ho jaaye, iske liye main yahaan par kareeban aadha chhota chamach namak daal rahi hoon. Namak daalne se tamatar fatafat soft ho jayega. Tamatar soft ho gaya hai, ab hum is mixture ko poori tarah se thanda kar lenge aur thanda karne ke baad mixer ke jar mein dal denge.

Ab humne yahaan par do bade chamach imli ka pani liya hai, aap iski jagah ismein neemboo ke ras ka istemal bhi kar sakte ho. Aadha chhota chamach ismein cheeni dalenge, cheeni saare taste ko balance karegi. Zaroor daalna bahut hi gajab ka taste aayega. Ab hum isse pees lenge, zarurat ke anusaar pani dal kar aap isse pees lijiye. Ab hum isse ek bowl mein nikaal lete hain. Mixer ke jar mein kaafi chutney lagi hui hai to hum ismein pani daal kar chutney mein daal dete hain aur isse achhe se mix kar dete hain. Chutney humari tayar hai. Ispar hum tadka lagayenge.


Iske liye maine do chamach tel garam kar liya hai. Ismein hum ek chhota chamach sarson aur do pinch hing, 8-10 curry patta dalenge. Ye tadka hum chutney mein laga denge. Aur ye humari bahut hi zyada tasty ekdam gajab ki chutney ban kar tayar ho chuki hai. Idhar humein batter ko rakhe huye kareeban 15-16 minute ho gaye hain, aur dekhiye suji achhe se phool gayi hai. Batter mujhe thoda sa gaadha lag raha hai, kyunki agar gaadha ghol hota hai to dosay bhi thode mote bante hain. Thoda sa patla ghol hoga to dosay bhi patle banenge. To maine yahaan par do-teen chamach pani aur daal diya hai aur isse achhe se mix kar denge. Dosa ka batter tayar hai.

Dosa pecipe banane se pehle hum iske stuffing ki taiyaari kar lete hain. To iske liye maine yahaan par do medium size ke pyaaz ko bareek kaat kar liya hai. Hum ispar lagbhag ek chhota chamach Kashmiri lal mirch ka powder dalenge. Ab hum ismein aadha chhota chamach ke kareeb namak daal dete hain, aadha chhota chamach chaat masala aur aadhe neemboo ka ras dalenge. Ab hum in sabko achhe se mix kar denge. Aur ye humare tasty chatpate masala pyaaz ban kar tayar hain.

Idhar hum batter mein dalenge keval do pinch baking soda, is par hum thoda sa pani dalenge aur isse achhe se mix kar denge. Aur chaliye ab hum iske fatafat se dosa bana lete hain. Jitna humne batter banaya hai, usmein aapke aaraam se chhe saath dosay ban jayenge. To dekhiye, humne yahaan par nonstick tawa liya hai. Is par hum tel daalenge, tissue paper se achhe se ise phaila lijiye. Aur ab hum is par pani ke chhainte daalenge aur ise achhe se pochh lenge. Aapko pani ke chhainte daal kar pochhne wala step har ek dosa banane se pehle karna hai. Gas ki flame ko bilkul low par rakhiye aur ek bada chamach bhar kar hum dosa batter daalenge aur isse achhe se phaila lenge. Tawa ka temperature bahut zyada nahi hona chahiye, warna jo ghol hai, woh chamach par lagkar wapas aata hai. To dekhiye, humne isse phaila liya hai.

Ab hum gas ki flame ko medium par kar denge. Is par main butter daal rahi hoon, aap apni pasand ke anusaar butter ya oil daal sakte ho. Lekin butter ka dosa zyada tasty aur crispy banta hai. Ab hum is par thoda sa Kashmiri lal mirch ka powder is tarah se sprinkle karenge, chhunti bhar garam masala bhi sprinkle kar denge. Isse hum chamach se halke halke is tarah se phaila lenge. Aur ab hum is par bareek kati hui Shimla mirch bhi daal dete hain. Ab hum is par masala pyaaz daalenge jo humne abhi banaya tha. Isse bahut hi gajab ka taste aata hai. Bareek kata hua hara dhaniya daal diya hai. Ab mere paas yahaan par paneer hai, to paneer ko hum is par kaddookas karke daal denge. Aap chahein to paneer ki jagah cheese ko kaddookas karke daal sakte ho. Paneer aur cheese dono ka istemal kar sakte ho. Maine aage paneer aur cheese dono se bhi dosa banaye the.

To maine is par paneer daal diya hai, aur ab hum is par thoda sa chaat masala sprinkle kar denge. Ab dekhiye, ghar ki jo gas hoti hai, uska burner thoda chhota hota hai. To maine gas ki flame ko medium aur high ke beech mein kar diya hai. Aur tawa ko ghumate huye hum dosa ko charon taraf se achhe se sekh lenge. To dekhiye, dosa ki jo partein hain, woh apne aap hi side se uth gayi hain. Aur ye humara dosa ban kar tayar ho chuka hai. Yeh bahut hi zyada tasty aur crispy dosa banta hai. Friends, aap banakar dekhiye, aapke ghar mein sab isse khakar jo aapki tareef karenge, aapko usse bahut khushi hogi. Aur dekhiye, maine ek aur dosa same tareeke se tayar kiya tha. Bas maine ismein cheese aur paneer dono ko grate karke daala hai. To isi tarah se hum saare dosay tayar kar lenge. Yadi aapko stuffing nahi lagani hai, to aap plain dosa bhi bana sakte ho. Dosa ko maine phaila diya hai, butter daal diya hai, bas ise achhe se sekhne dijiye. Bahut hi crispy dosa banta hai.


Agar doston dose pecipe ki jankari aapko acchi lagi ho to comment Kijiye aur aapke doston mein share kijiye main aapke liye aise hi recipe late rahunga chalo doston Milte Hain agale block mein

Tags

Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.
Post a Comment (0)